kabhi aisa tamawwuj tumne dekha hai
kabhī aisā tamavvuj tum ne dekhā hai
kabhī jazbāt kā aisā tamavvuj tum ne dekhā hai
ki siine meñ bhañvar paḌte hoñ tishna ārzūoñ ke
magar un ko miyān-e-mauj rasta bhī na miltā ho
kināre tak rasā.ī kā ishāra bhī na miltā ho
jab aisā ho to har chashme se dhāre phuuT bahte haiñ
vo sañg o gil ke pushte hoñ ki dariyā ke kināre
phuuT bahte haiñ
vahī dhāre magar un sā.ebānoñ ko Dubote haiñ
ki jin ke nīche baiTh kar kuchh chāk-dāmāñ log
ashkoñ aur tūfānoñ ke motī bhī pirote haiñ
kabhi aisa tamawwuj tum ne dekha hai
kabhi jazbaat ka aisa tamawwuj tum ne dekha hai
ki sine mein bhanwar paDte hon tishna aarzuon ke
magar un ko miyan-e-mauj rasta bhi na milta ho
kinare tak rasai ka ishaara bhi na milta ho
jab aisa ho to har chashme se dhaare phuT bahte hain
wo sang o gil ke pushte hon ki dariya ke kinare
phuT bahte hain
wahi dhaare magar un saebanon ko Dubote hain
ki jin ke niche baiTh kar kuchh chaak-daman log
ashkon aur tufanon ke moti bhi pirote hain
- Book : Asaleeb (Pg. 200)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.