kabhi kabhi
kabhī kabhī lagtā hai
jaise zindagī
kaan maiñ aa kar kah rahī ho
yaar mere saath kar kyā rahe ho
vaise sach meñ
hameñ karnā kyā thā
aur ham kar kyā raheñ haiñ
hameñ banñā kyā thā
aur ham ban kyā ga.e haiñ
ronā chāheñ
to khul kar rote nahīñ haiñ
hañsnā chāheñ
to khul kar hañste nahiñ haiñ
ḳhvāboñ meñ yuuñ bahte haiñ aksar
haqīqat meñ ham rahte nahīñ haiñ
ye chāñdnī rāteñ
vo tāroñ se bāteñ
thoḌā rātoñ meñ jāgnā
thoḌā sach se bhāgnā
kuchh pyāre sapne
kuchh burī yādeñ
kuchh puurī zarūrateñ
kuchh adhūrī ḳhvāhisheñ
sab haiñ
agar kuchh nahīñ hai
to vo haiñ ham
kabhi kabhi lagta hai
jaise zindagi
kan main aa kar kah rahi ho
yar mere sath kar kya rahe ho
waise sach mein
hamein karna kya tha
aur hum kar kya rahen hain
hamein banna kya tha
aur hum ban kya gae hain
rona chahen
to khul kar rote nahin hain
hansna chahen
to khul kar hanste nahin hain
KHwabon mein yun bahte hain aksar
haqiqat mein hum rahte nahin hain
ye chandni raaten
wo taron se baaten
thoDa raaton mein jagna
thoDa sach se bhagna
kuchh pyare sapne
kuchh buri yaaden
kuchh puri zaruraten
kuchh adhuri KHwahishen
sab hain
agar kuchh nahin hai
to wo hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.