kabhi kabhi
raat ko
aañkh khul jaatī hai
to sochtā huuñ
sab barābar hai?!
maiñ aur merā ghar
biivī bachche locker
koī chiiz
idhar udhar to nahīñ huii!
aur phir
der tak
is baat kā
afsos kartā huuñ
ki maiñ
kitnā bikhar gayā hūñ!!
raat ko
aankh khul jati hai
to sochta hun
sab barabar hai?!
main aur mera ghar
biwi bachche locker
koi chiz
idhar udhar to nahin hui!
aur phir
der tak
is baat ka
afsos karta hun
ki main
kitna bikhar gaya hun!!
- Book : Raat Idhar Udhar Rooshan (Pg. 231)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.