kabhi kabhi
kabhī kabhī ye dil kartā hai
yādeñ phir se taaza kar luuñ
kachche zaḳhmoñ ko phir ḳharchoñ
chīzeñ pheñk shīsha toḌūñ
dīvāroñ se sar Takrā.ūñ
ghar ke ik kone meñ chhup kar
zaanū par maiñ sar ko rakh kar
āñkhoñ se aañsū Tapkā.ūñ
aah bharūñ aur rotā jā.ūñ
rote rote tujh ko pukārūñ
kabhī kabhī ye dil kartā hai
vahī purānī book phir kholūñ
jis ke andar terā ik ḳhat rakkhā huā hai
kabhi kabhi ye dil karta hai
yaaden phir se taza kar lun
kachche zaKHmon ko phir KHarchon
chizen phenk shisha toDun
diwaron se sar Takraun
ghar ke ek kone mein chhup kar
zanu par main sar ko rakh kar
aankhon se aansu Tapkaun
aah bharun aur rota jaun
rote rote tujh ko pukarun
kabhi kabhi ye dil karta hai
wahi purani book phir kholun
jis ke andar tera ek KHat rakkha hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.