kabhi kabhi
kabhī kabhī jī kartā hai
duur falak tak uḌtā jā.ūñ
chāñd kī dūdhiyā bheḌ ko zab.h kar aa.uuñ
apne nāḳhun kī dhaar se
ghane pahāḌoñ ko chiir aa.uuñ
itnī zor se chīḳhūñ
saarī ḳhushbū-dār havā.eñ
duur talak luḌhkeñ
aur mar jaa.eñ
kabhī kabhī jī kartā hai
ḳhāmosh rahūñ
apne bātin kī tanhā.ī meñ aa kar
chup ke do aañsū ro luuñ
kabhi kabhi ji karta hai
dur falak tak uDta jaun
chand ki dudhiya bheD ko zabh kar aaun
apne naKHun ki dhaar se
ghane pahaDon ko chir aaun
itni zor se chiKHun
sari KHushbu-dar hawaen
dur talak luDhken
aur mar jaen
kabhi kabhi ji karta hai
KHamosh rahun
apne baatin ki tanhai mein aa kar
chup ke do aansu ro lun
- Book : Pakistani Adab (Pg. 201)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.