kabhi kabhi
kabhī kabhī to yuuñ mahsūs huā kartā hai
jaise lafz ke saare rishte be-ma.anī haiñ
lagtī hai kānoñ ko aksar
ḳhāmoshī āvāz ke sannāTe se behtar
saada kāġhaz
likhe hue kāġhaz se achchhā lagtā hai
ḳhvābīda lafzoñ ko āḳhir
jāgtī āñkhoñ kī tasvīr dikhā.eñ kaise
palkoñ par āvāz sajā.eñ kaise
kabhī kabhī yuuñ lagtā hai jaise tum merī nazmeñ ho
jin ko paḌh kar kabhī kabhī meñ yuuñ bhī sachchā kartā huuñ
lafzoñ ke rishte be-ma.anī hote haiñ
lafz kahāñ jazboñ ke saanī hote haiñ
kabhi kabhi to yun mahsus hua karta hai
jaise lafz ke sare rishte be-mani hain
lagti hai kanon ko aksar
KHamoshi aawaz ke sannaTe se behtar
sada kaghaz
likhe hue kaghaz se achchha lagta hai
KHwabida lafzon ko aaKHir
jagti aankhon ki taswir dikhaen kaise
palkon par aawaz sajaen kaise
kabhi kabhi yun lagta hai jaise tum meri nazmen ho
jin ko paDh kar kabhi kabhi mein yun bhi sachcha karta hun
lafzon ke rishte be-mani hote hain
lafz kahan jazbon ke sani hote hain
- Book : namuud (Pg. 84)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.