kabhi kabhi to zindagiyan
kabhī kabhī to zindagiyāñ kuchh itne vaqt meñ apnī murādeñ hāsil kar letī haiñ
jitne vaqt meñ luqma plate se muñh meñ pahuñchtā hai... aur
aksar aisī murādoñ kī to pahuñch bhī luqmoñ tak hotī hai
aur jab aisī manzileñ bārvar hotī haiñ to shahr panapte haiñ aur gaañv phabakte haiñ… aur
tahzīboñ kī manDiyoñ meñ har jānib qistāsoñ kī TeḌhī DanDiyāñ roz o shab tezī tezī se
insānoñ kī jholiyoñ meñ rizqoñ kī dhaḌyāñ ulaTtī haiñ aur
bhare samājoñ meñ shuddh talqīnoñ kī DauDiyāñ pīTne vaale bhī apnī apnī paġhambariyoñ kī tanḳhvāheñ paate haiñ
lekin kis ko ḳhabar hai aisī bhī haiñ manzileñ jin tak jaane vaale rāstoñ par na duā kā saaya hai na qazā kā gaḌhā hai
kuchh hai bhī to bas apnī sochoñ kī dhajjiyoñ meñ simTī huī ik bechārgī jis kī be-sadā
huuk meñ umreñ Duub jaatī haiñ
aur qutboñ se qutboñ tak uḌ uḌ kar jaane vaale thake paroñ kī kamāneñ bhī to
ik manzil pe chamaktī ābnāo kī samt lachak jaatī haiñ
lekin haa.e vo manzileñ jin tak har sachchā.ī rasta hai aur har sachchā.ī maut kā jiitā naam hai
kabhi kabhi to zindagiyan kuchh itne waqt mein apni muraden hasil kar leti hain
jitne waqt mein luqma plate se munh mein pahunchta hai aur
aksar aisi muradon ki to pahunch bhi luqmon tak hoti hai
aur jab aisi manzilen barwar hoti hain to shahr panapte hain aur ganw phabakte hain… aur
tahzibon ki manDiyon mein har jaanib qistason ki TeDhi DanDiyan roz o shab tezi tezi se
insanon ki jholiyon mein rizqon ki dhaDyan ulaTti hain aur
bhare samajon mein shuddh talqinon ki DauDiyan piTne wale bhi apni apni paghambariyon ki tanKHwahen pate hain
lekin kis ko KHabar hai aisi bhi hain manzilen jin tak jaane wale raston par na dua ka saya hai na qaza ka gaDha hai
kuchh hai bhi to bas apni sochon ki dhajjiyon mein simTi hui ek bechaargi jis ki be-sada
huk mein umren Dub jati hain
aur qutbon se qutbon tak uD uD kar jaane wale thake paron ki kamanen bhi to
ek manzil pe chamakti aabnao ki samt lachak jati hain
lekin hae wo manzilen jin tak har sachchai rasta hai aur har sachchai maut ka jita nam hai
- Book : Kulliyaat-e-majiid Amjad (Pg. 677)
- Author : Majiid Amjad
- Publication : Farid Book Depot (p) Ltd. (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.