Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kabhi to hum tumhaare hon

Hammad Younus

kabhi to hum tumhaare hon

Hammad Younus

MORE BYHammad Younus

    agar ham maan leñ sāhib

    mohabbat aur siyāsat meñ

    kisī haar hotī hai

    kisī jiit hotī hai

    ki ye darbār haiñ donoñ

    so har darbār ik

    munfarid riit hotī hai

    magar tum kaho sāhib

    ki har ik baar ham kyoñ

    kisī haare hue lashkar

    kisī ujḌī huī bastī

    kisī ban-bās Thahre

    shāhzāde

    sūkhte kuchh phuul

    aur

    dīmak lagī ik diary ke

    isti'āre hoñ

    suno sāhib

    kabhī to ham tumhāre hoñ

    agar hum man len sahib

    mohabbat aur siyasat mein

    kisi ki haar hoti hai

    kisi ki jit hoti hai

    ki ye darbar hain donon

    so har darbar ki ek

    munfarid si rit hoti hai

    magar tum hi kaho sahib

    ki har ek bar hum hi kyon

    kisi haare hue lashkar

    kisi ujDi hui basti

    kisi ban-bas Thahre

    shahzade

    sukhte kuchh phul

    aur

    dimak lagi ek diary ke

    isti'are hon

    suno sahib

    kabhi to hum tumhaare hon

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now