kachche rangon ka mausam
ghar se basta aur tiffin ke saath nikalnā maktab ko
aadhe hī raste se ghuum ke vāpas aanā
shaam Dhale tak
khelnā kūdnā
jhagḌe karnā
phir mil jaanā
baaġh se jā kar aam churānā
pakḌe jaanā
ghar par aa kar DāñTeñ sunñā
kabhī kabhī thappaḌ bhī khānā
ganne ke murjhā.e aur kaale phūloñ se
naqlī dāḌhī mūñchh banānā
chhup kar jūThī biiḌī piinā
khetoñ meñ jhāḌe ko jaanā
idhar udhar kī bāteñ karnā
ik gore laḌke ke pīchhe takte rahnā
kam-umrī meñ bāliġh honā
ulTe sīdhe dhyān meñ shab bhar
jāgte rahnā
kitnā achchhā lagtā thā
vo rāteñ kitnī pyārī thiiñ
vo din kitne albele the
ghar se basta aur tiffin ke sath nikalna maktab ko
aadhe hi raste se ghum ke wapas aana
sham Dhale tak
khelna kudna
jhagDe karna
phir mil jaana
bagh se ja kar aam churana
pakDe jaana
ghar par aa kar DanTen sunna
kabhi kabhi thappaD bhi khana
ganne ke murjhae aur kale phulon se
naqli daDhi munchh banana
chhup kar juThi biDi pina
kheton mein jhaDe ko jaana
idhar udhar ki baaten karna
ek gore laDke ke pichhe takte rahna
kam-umri mein baaligh hona
ulTe sidhe dhyan mein shab bhar
jagte rahna
kitna achchha lagta tha
wo raaten kitni pyari thin
wo din kitne albele the
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 128)
- Author : Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.