Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kachche raston se

Shahryar

kachche raston se

Shahryar

MORE BYShahryar

    jo kachche rastoñ se pakkī saḌkoñ ruḳh kiyā thā

    khaḌā.ūñ apnī utaar dete

    badan ko kapḌoñ se Dhāñp lete

    tumhārī sairāb pinDuliyoñ par nishān jitne haiñ kah rahe haiñ

    ki tum ne rātoñ ko raat samjhā

    har ek mausam meñ us nisbat se phal ugaa.e

    badan zarūrat-e-ġhizā hamesha tumheñ milī hai

    na jaane uftād kyā paḌī hai

    jo kachche rastoñ se pakkī saḌkoñ ruḳh kiyā hai

    jo kachche raston se pakki saDkon ka ruKH kiya tha

    khaDaun apni utar dete

    badan ko kapDon se Dhanp lete

    tumhaari sairab pinDuliyon par nishan jitne hain kah rahe hain

    ki tum ne raaton ko raat samjha

    har ek mausam mein us ki nisbat se phal ugae

    badan zarurat-e-ghiza hamesha tumhein mili hai

    na jaane uftad kya paDi hai

    jo kachche raston se pakki saDkon ka ruKH kiya hai

    Source :
    • Book : sooraj ko nikalta dekhoon (Pg. 519)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now