kachhwa aur KHargosh
ek kachhve ke aa ga.ī jī meñ
kījiye sair o gasht ḳhushkī kī
jā rahā thā chalā huā ḳhāmosh
us se nāhaq ulajh paḌā ḳhargosh
miyāñ kachhve! tumhārī chaal hai ye
yā koī shāmat aur vabāl hai ye
yuuñ qadam phūñk phūñk dharte ho
goyā uttū zamīñ pe dharte ho
kyuuñ hue chal ke muft meñ bad-nām
be-chale kyā aTak rahā thā kaam
tum ko ye hausla na karnā thā
chullū paanī meñ Duub marnā thā
ye tan-o-tosh aur ye raftār
aisī raftār par ḳhudā kī maar
bolā kachhvā ki hoñ ḳhafā na huzūr
maiñ to huuñ aap mo'tarif ba-qusūr
agar āhistagī hai jurm-o-gunāh
to maiñ ḳhud apne jurm kā huuñ gavāh
mujh ko jo saḳht sust farmāyā
aap ne sab durust farmāyā
mujh ko ġhāfil magar na jāniyegā
banda-parvar burā na māniyegā
yuuñ zabānī javāb to kyā duuñ
shart bad kar chalo to dikhlā duuñ
tum to ho āftāb meñ zarra
par miTā dūñgā aap kā ġhurra
sun ke ḳhargosh ne ye talḳh javāb
kahā kachhve se yuuñ zi-rū-e-itāb
tū kare merī ham-sarī kā ḳhayāl
terī ye taab ye sakat ye majāl
chyūñTī ke jo par nikal aa.e
to yaqīñ hai ki ab ajal aa.e
are bebāk! bad-zabāñ muñh-phaT
tū ne dekhī kahāñ hai dauḌ jhapaT
jab maiñ tezī se jast kartā huuñ
shahsavāroñ ko past kartā huuñ
gard ko merī bād-e-pā na lage
laakh dauḌe mirā pata na lage
rail huuñ barq huuñ chhalāvā huuñ
maiñ chhalāve kā balki baavā huuñ
terī merī nibhegī sohbat kyā
āsmāñ ko zamīñ se nisbat kyā
jis ne bhugte hoñ turkī o taazī
aaise mariyal se kyā bade baazī
baat ko ab ziyāda kyā duuñ tuul
ḳhair kartā huuñ terī shart qubūl
hai munāsib ki imtihāñ ho jaa.e
taaki aib o hunar ayaañ ho jaa.e
al-ġharaz ik maqām Thahrā kar
hue donoñ harīf garm-e-safar
bas-ki zoroñ pe thā chaḌhā ḳhargosh
tezī phurtī se yuuñ baḌhā ḳhargosh
jis tarah jaa.e top kā golā
yā gire āsamān se olā
ek do khet chaukḌī bhar ke
apnī chustī pe āfrīñ kar ke
kisī goshe meñ so gayā jā kar
fikr ''kyā hai chaleñge sustā kar''
aur kachhvā ġharīb āhista
chalā siine ko ḳhaak par ghistā
suuī ghanTe kī jaise chaltī hai
yā ba-tadrīj chhāñv Dhaltī hai
yūñhī chaltā rahā ba-istiqlāl
na kiyā kuchh idhar udhar kā ḳhayāl
kaam kartā rahā jo pai-dar-pai
kar gayā rafta rafta manzil tai
haif ḳhargosh rah gayā sotā
samra ġhaflat kā aur kyā hotā
jab khulī aañkh to saverā thā
saḳht sharmindagī ne gherā thā
sabr o mohabbat meñ hai sar-afrāzī
sust kachhve ne jiit lī baazī
nahīñ qissa ye dil-lagī ke liye
balki ibrat hai aadmī ke liye
hai suḳhan is hijāb meñ rū-posh
varna kachhvā kahāñ kahāñ ḳhargosh
ek kachhwe ke aa gai ji mein
kijiye sair o gasht KHushki ki
ja raha tha chala hua KHamosh
us se nahaq ulajh paDa KHargosh
miyan kachhwe! tumhaari chaal hai ye
ya koi shamat aur wabaal hai ye
yun qadam phunk phunk dharte ho
goya uttu zamin pe dharte ho
kyun hue chal ke muft mein bad-nam
be-chale kya aTak raha tha kaam
tum ko ye hausla na karna tha
chullu pani mein Dub marna tha
ye tan-o-tosh aur ye raftar
aisi raftar par KHuda ki mar
bola kachhwa ki hon KHafa na huzur
main to hun aap mo'tarif ba-qusur
agar aahistagi hai jurm-o-gunah
to main KHud apne jurm ka hun gawah
mujh ko jo saKHt sust farmaya
aap ne sab durust farmaya
mujh ko ghafil magar na jaaniyega
banda-parwar bura na maniyega
yun zabani jawab to kya dun
shart bad kar chalo to dikhla dun
tum to ho aaftab mein zarra
par miTa dunga aap ka ghurra
sun ke KHargosh ne ye talKH jawab
kaha kachhwe se yun zi-ru-e-itab
tu kare meri ham-sari ka KHayal
teri ye tab ye sakat ye majal
chyunTi ke jo par nikal aae
to yaqin hai ki ab ajal aae
are bebak! bad-zaban munh-phaT
tu ne dekhi kahan hai dauD jhapaT
jab main tezi se jast karta hun
shahsawaron ko past karta hun
gard ko meri baad-e-pa na lage
lakh dauDe mera pata na lage
rail hun barq hun chhalawa hun
main chhalawe ka balki bawa hun
teri meri nibhegi sohbat kya
aasman ko zamin se nisbat kya
jis ne bhugte hon turki o tazi
aaise mariyal se kya bade bazi
baat ko ab ziyaada kya dun tul
KHair karta hun teri shart qubul
hai munasib ki imtihan ho jae
taki aib o hunar ayan ho jae
al-gharaz ek maqam Thahra kar
hue donon harif garm-e-safar
bas-ki zoron pe tha chaDha KHargosh
tezi phurti se yun baDha KHargosh
jis tarah jae top ka gola
ya gire aasaman se ola
ek do khet chaukDi bhar ke
apni chusti pe aafrin kar ke
kisi goshe mein so gaya ja kar
fikr kya hai chalenge susta kar
aur kachhwa gharib aahista
chala sine ko KHak par ghista
sui ghanTe ki jaise chalti hai
ya ba-tadrij chhanw Dhalti hai
yunhi chalta raha ba-istiqlal
na kiya kuchh idhar udhar ka KHayal
kaam karta raha jo pai-dar-pai
kar gaya rafta rafta manzil tai
haif KHargosh rah gaya sota
samra ghaflat ka aur kya hota
jab khuli aankh to sawera tha
saKHt sharmindagi ne ghera tha
sabr o mohabbat mein hai sar-afraazi
sust kachhwe ne jit li bazi
nahin qissa ye dil-lagi ke liye
balki ibrat hai aadmi ke liye
hai suKHan is hijab mein ru-posh
warna kachhwa kahan kahan KHargosh
- Book : kachhua aur khargosh (Pg. 17)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.