kaDe kos
harf
goyā.ī kī zanjīr meñ jab qaid huā
ism banā
ahd banā
nazm banā
qissa-e-kām-o-dahan kā ġham-e-matlūb banā
ḳhūb-o-nā-ḳhūb banā
harf-e-nā-gufta
magar zehn kā āzār banā
dil kī dīvār banā
rāh-e-dushvār banā
qissa-e-shauq kī vārafta kahānī na banā
hīla-e-vasl kī ġham-dīda nishānī na banā
vaar hai manzil-e-goyā.ī
sabhī jānte haiñ
harf-e-nā-gufta ke ye zaḳhm magar mere haiñ
jin ko tanhā.ī mirī
mujh se sivā jāntī hai
A distance of two miles
harf
goyai ki zanjir mein jab qaid hua
ism bana
ahd bana
nazm bana
qissa-e-kaam-o-dahan ka gham-e-matlub bana
KHub-o-na-KHub bana
harf-e-na-gufta
magar zehn ka aazar bana
dil ki diwar bana
rah-e-dushwar bana
qissa-e-shauq ki warafta kahani na bana
hila-e-wasl ki gham-dida nishani na bana
war hai manzil-e-goyai
sabhi jaante hain
harf-e-na-gufta ke ye zaKHm magar mere hain
jin ko tanhai meri
mujh se siwa jaanti hai
A distance of two miles
- Book : kulliyat dusht-e-qais main laila (Pg. 227)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.