kaDwa sach
bas ik maiñ huuñ
bas ik tum ho
duur ḳhalā meñ sannāTā hai
dil meñ ḳhāmoshī kā dariyā
bahtā hai bahtā rahtā hai
jis ke kināre baiThe hue ham
sochā karte haiñ bātoñ ko
in bātoñ ko
jin kā kuchh mafhūm nahīñ hai
mausam kyā hai
bādal kyā hai
sab kuchh apne dil jaisā hai
ḳhālī ḳhālī
vīrāñ vīrāñ
tum aur maiñ
ham kuchh bhī nahīñ haiñ
bas ik sach hai
kaḌvā sach hai
jo lamhe gintā rahtā hai
bas ek main hun
bas ek tum ho
dur KHala mein sannaTa hai
dil mein KHamoshi ka dariya
bahta hai bahta rahta hai
jis ke kinare baiThe hue hum
socha karte hain baaton ko
in baaton ko
jin ka kuchh mafhum nahin hai
mausam kya hai
baadal kya hai
sab kuchh apne dil jaisa hai
KHali KHali
viran viran
tum aur main
hum kuchh bhi nahin hain
bas ek sach hai
kaDwa sach hai
jo lamhe ginta rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.