kaDwa sach
maiñ faqat jism nahīñ zehn bhī huuñ
sab qasīde lab-o-ruḳhsār ke bar-haq lekin
chashm-e-maigūñ ke udhar
qāmat-e-shamshād ke saath
zulf-e-pechāñ se pare
merī ik soch bhī hai fikr bhī hai
maiñ ki taḳhlīq-e-bashar kā huuñ vasīla lekin
kyuuñ dikhā.ī nahīñ detā hai tumheñ merā shu.ūr
merī dānish ke ka.ī rang haiñ tārīḳh ke paas
mere afkār mirī raa.e mirā tarz-e-ḳhayāl
in kī tauqīr karo
tum ne aurat ko faqat hūr-shamā.il samjhā
nāvak-e-ishq kā ghāyal samjhā
tum ne sadiyoñ se adhūrā mujhe taslīm kiyā
is meñ tarmīm karo
sach kī tāzīm karo
maiñ faqat jism nahīñ zehn bhī huuñ
maiñ ikaa.ī huuñ mukammal mujhe taslīm karo
main faqat jism nahin zehn bhi hun
sab qaside lab-o-ruKHsar ke bar-haq lekin
chashm-e-maigun ke udhar
qamat-e-shamshad ke sath
zulf-e-pechan se pare
meri ek soch bhi hai fikr bhi hai
main ki taKHliq-e-bashar ka hun wasila lekin
kyun dikhai nahin deta hai tumhein mera shuur
meri danish ke kai rang hain tariKH ke pas
mere afkar meri rae mera tarz-e-KHayal
in ki tauqir karo
tum ne aurat ko faqat hur-shamail samjha
nawak-e-ishq ka ghayal samjha
tum ne sadiyon se adhura mujhe taslim kiya
is mein tarmim karo
sach ki tazim karo
main faqat jism nahin zehn bhi hun
main ikai hun mukammal mujhe taslim karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.