kafan-chor
kuchh nahīñ, ghar meñ mire kuchh bhī nahīñ
koī kapḌā ki harārat ko badan meñ rakhtā
luqma-e-nān-e-javīñ ḳhuun ko dhakkā detā
man ko garmātā sakūñ, tan se lipaTtā bistar
kuchh nahīñ, kuchh bhī nahīñ, kuchh bhī nahīñ!
raat ko jism se chipkātī huī sard havā
jism ke band masāmoñ meñ utartī ThanDak
sañg-e-marmar sī huiiñ ḳhuun tarastī poreñ
haath larzāñ the umīdoñ ne magar thaam liye
paañv chalte hī rahe shahr-e-ḳhamoshāñ kī taraf
parda-e-ḳhāk meñ lipTe hue be-jān vajūd!
bā.is-e-nañg-e-zamīñ huuñ, magar ik baat batā
jism miTTī ho to kapḌoñ kī zarūrat kyā hai?
dekh! paivand-e-zamīñ! mere tan-e-uryāñ par
dāġh-e-aflās kā paivand... ijāzat de de
mar ke marte hue insān ko zinda kar de
ek malbūs kamāne kī ijāzat de de!
varna bhūkī hai bahut ḳhāk, kahāñ dekhegī
jism khā jā.egī poshāk kahāñ dekhegī!
kuchh nahin, ghar mein mere kuchh bhi nahin
koi kapDa ki hararat ko badan mein rakhta
luqma-e-nan-e-jawin KHun ko dhakka deta
man ko garmata sakun, tan se lipaTta bistar
kuchh nahin, kuchh bhi nahin, kuchh bhi nahin!
raat ko jism se chipkati hui sard hawa
jism ke band masamon mein utarti ThanDak
sang-e-marmar si huin KHun tarasti poren
hath larzan the umidon ne magar tham liye
panw chalte hi rahe shahr-e-KHamoshan ki taraf
parda-e-KHak mein lipTe hue be-jaan wajud!
bais-e-nang-e-zamin hun, magar ek baat bata
jism miTTi ho to kapDon ki zarurat kya hai?
dekh! paiwand-e-zamin! mere tan-e-uryan par
dagh-e-aflas ka paiwand ijazat de de
mar ke marte hue insan ko zinda kar de
ek malbus kamane ki ijazat de de!
warna bhuki hai bahut KHak, kahan dekhegi
jism kha jaegi poshak kahan dekhegi!
- Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 106)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : H.No.-21, Street No. 2, Phase II, Bahriya Town, Rawalpindi (Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011)
- Edition : Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.