kahan aa gai ho
chand saal us taraf
ham shanāsā nigāhoñ se bachte-bachāte
yahīñ par mile the
tumheñ yaad hai
kā.enāt ek Table ke chāroñ taraf ghūmtī thī
hameñ dekh kar kitne būḌhoñ kī āñkheñ
kisī yād-e-rafta meñ nam ho rahī thī
magar maiñ ne āñkhoñ meñ
apne liye aur tumhāre liye
machhliyoñ kī tarah tairte āñsuoñ meñ tamannā.eñ dekhīñ
mujhe yaad hai
jab kisī ajnabī mehrbāñ ne hameñ phuul bheje
to tum kitnī nervous huiiñ
jald hī ḳhauf, ḳhadshe havā ho ga.e
dūsrī tabloñ par bhī gul-daste hañsne lage
ab mohabbat kā maskan kahīñ aur hai
ye jagah ab zabāñ-band dushman kā muñh kholne ke liye hai
jahāñ apnī Table thī ab us jagah ek phandā lagā hai
kahāñ aa ga.ī ho mohabbat kā katba uThā.e hue
aao aage chaleñ
chand sal us taraf
hum shanasa nigahon se bachte-bachate
yahin par mile the
tumhein yaad hai
kaenat ek Table ke chaaron taraf ghumti thi
hamein dekh kar kitne buDhon ki aankhen
kisi yaad-e-rafta mein nam ho rahi thi
magar main ne aankhon mein
apne liye aur tumhaare liye
machhliyon ki tarah tairte aansuon mein tamannaen dekhin
mujhe yaad hai
jab kisi ajnabi mehrban ne hamein phul bheje
to tum kitni nerwous huin
jald hi KHauf, KHadshe hawa ho gae
dusri tablon par bhi gul-daste hansne lage
ab mohabbat ka maskan kahin aur hai
ye jagah ab zaban-band dushman ka munh kholne ke liye hai
jahan apni Table thi ab us jagah ek phanda laga hai
kahan aa gai ho mohabbat ka katba uThae hue
aao aage chalen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.