kahan hai aa ja
rāhat-e-banda-e-be-dām kahāñ hai aa jā
paikar-e-husn sar-e-bām kahāñ hai aa jā
raunaq-e-bazm hai o jaam kahāñ hai aa jā
zīnat-e-jalva-gah-e-ām kahāñ hai aa jā
ai umīd-e-dil-e-nā-kām kahāñ hai aa jā
terī furqat ḳhalal-andāz-e-sukūn-e-paiham
terī furqat dil-e-māyūs pe ik turfa sitam
terī furqat sabab-e-kāvish-o-bedārī-e-ġham
tū nahīñ hai to phir ārām kahāñ hai aa jā
shāhid-e-aur-e-siyah-baḳht o shab-e-tār huuñ maiñ
ḳhūgar-e-nāla-e-lazzat-kash-e-āvāz huuñ maiñ
dām-e-tūfān-e-havādis meñ giraftār huuñ maiñ
roz-o-shab muntazir-e-dīd-e-ruḳh-e-yār huuñ maiñ
dil hai vaqf-e-ġham-e-ālām kahāñ hai aa jā
sho.ala-e-bar-kaf-e-gul dāġh-e-jigar tere baġhair
ḳhār-bardosh hai dāmān-e-nazar tere baġhair
ḳhūñ-fishāñ hai shab-e-ġham dīda-e-tar tere baġhair
chalan aatā hī nahīñ shām-o-sahar tere baġhair
muntazir huuñ sahar-o-shām kahāñ hai aa jā
daur-e-tārīkī-e-ġham se shab-e-tanhā.ī se
dam-ba-dam josh-e-junūñ kī sitam-ārā.ī se
ka.aba-o-dair-o-kalīsā kī jabīñ-sā.ī se
ḳhauf-e-majbūrī-o-nākāmī-o-rusvā.ī se
ishq hai larza-bar-andām kahāñ hai aa jā
muntashir hone lagī anjuman-e-nāz-e-hayāt
ban gayā ḳhvāb har ik manzar-e-āġhāz-e-hayāt
dam-shikasta sā nazar aane lagā sāz-e-hayāt
ab koī dam meñ huā jaatā hai vā rāz-e-hayāt
aa gayā naza.a kā hañgām kahāñ hai aa jā
rahat-e-banda-e-be-dam kahan hai aa ja
paikar-e-husn sar-e-baam kahan hai aa ja
raunaq-e-bazm hai o jam kahan hai aa ja
zinat-e-jalwa-gah-e-am kahan hai aa ja
ai umid-e-dil-e-na-kaam kahan hai aa ja
teri furqat KHalal-andaz-e-sukun-e-paiham
teri furqat dil-e-mayus pe ek turfa sitam
teri furqat sabab-e-kawish-o-bedari-e-gham
tu nahin hai to phir aaram kahan hai aa ja
shahid-e-aur-e-siyah-baKHt o shab-e-tar hun main
KHugar-e-nala-e-lazzat-kash-e-awaz hun main
dam-e-tufan-e-hawadis mein giraftar hun main
roz-o-shab muntazir-e-did-e-ruKH-e-yar hun main
dil hai waqf-e-gham-e-alam kahan hai aa ja
shoala-e-bar-kaf-e-gul dagh-e-jigar tere baghair
KHar-bardosh hai daman-e-nazar tere baghair
KHun-fishan hai shab-e-gham dida-e-tar tere baghair
chalan aata hi nahin sham-o-sahar tere baghair
muntazir hun sahar-o-sham kahan hai aa ja
daur-e-tariki-e-gham se shab-e-tanhai se
dam-ba-dam josh-e-junun ki sitam-arai se
kaba-o-dair-o-kalisa ki jabin-sai se
KHauf-e-majburi-o-nakaami-o-ruswai se
ishq hai larza-bar-andam kahan hai aa ja
muntashir hone lagi anjuman-e-naz-e-hayat
ban gaya KHwab har ek manzar-e-aghaz-e-hayat
dam-shikasta sa nazar aane laga saz-e-hayat
ab koi dam mein hua jata hai wa raaz-e-hayat
aa gaya naza ka hangam kahan hai aa ja
- Book : Kulliyat Shakeel (Pg. 327)
- Publication : Fareed Book Depot Pvt. Ltd.
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.