kahan jaoge
aur kuchh der meñ luT jā.egā har baam pe chāñd
aks kho jā.eñge ā.īne taras jā.eñge
arsh ke dīda-e-namnāk se bārī-bārī
sab sitāre sar-e-ḳhāshāk baras jā.eñge
aas ke maare thake haare shabistānoñ meñ
apnī tanhā.ī sameTegā, bichhā.egā koī
bevafā.ī kī ghaḌī, tark-e-madārāt kā vaqt
is ghaḌī apne sivā yaad na aa.egā koī
tark-e-duniyā kā samāñ ḳhatm-e-mulāqāt kā vaqt
is ghaḌī ai dil-e-āvāra kahāñ jāoge
is ghaḌī koī kasī kā bhī nahīñ rahne do
koī is vaqt mile gā hī nahīñ rahne do
aur mile gā bhī is taur ki pachhtāoge
is ghaḌī ai dil-e-āvāra kahāñ jāoge
aur kuchh der Thahar jaao ki phir nashtar-e-sub.h
zaḳhm kī tarah har ik aañkh ko bedār kare
aur har kushta-e-vāmāñdgī-e-āḳhir-e-shab
bhuul kar sā.at-e-darmāndagī-e-āḳhir-e-shab
jaan pahchān mulāqāt pe isrār kare
aur kuchh der mein luT jaega har baam pe chand
aks kho jaenge aaine taras jaenge
arsh ke dida-e-namnak se bari-bari
sab sitare sar-e-KHashak baras jaenge
aas ke mare thake haare shabistanon mein
apni tanhai sameTega, bichhaega koi
bewafai ki ghaDi, tark-e-madaraat ka waqt
is ghaDi apne siwa yaad na aaega koi
tark-e-duniya ka saman KHatm-e-mulaqat ka waqt
is ghaDi ai dil-e-awara kahan jaoge
is ghaDi koi kasi ka bhi nahin rahne do
koi is waqt mile ga hi nahin rahne do
aur mile ga bhi is taur ki pachhtaoge
is ghaDi ai dil-e-awara kahan jaoge
aur kuchh der Thahar jao ki phir nashtar-e-subh
zaKHm ki tarah har ek aankh ko bedar kare
aur har kushta-e-wamandgi-e-aKHir-e-shab
bhul kar saat-e-darmandagi-e-aKHir-e-shab
jaan pahchan mulaqat pe israr kare
- Book : Nuskha Hai Wafa (Pg. 355)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.