kahan
kahāñ jā rahe ho
siyah raushnī kī
chakā-chauñd dhārā ke duuje kināre pe
andhā kuaañ ik qadam fāsla
kahāñ jī rahe ho
khulī aañkh ke dil-nashīñ ḳhvāb kī
ek tasvīr meñ
jis kī ta.abīr azaloñ se ma.adūm hai
kahāñ hañs rahe ho
pas-e-qahqaha
audible range se bhī bahut duur nīche
karāhoñ kī lahreñ fanā ho rahī haiñ
kahāñ dekhte ho
sitāroñ ke pīchhe na.ī kahkashā.eñ
jahāñ pe tajāzub bhī is paar jaisā
repulsion bhī jo ki yahāñ bhogte ho
kahāñ jā rahe ho
kahan ja rahe ho
siyah raushni ki
chaka-chaund dhaara ke duje kinare pe
andha kuan ek qadam fasla
kahan ji rahe ho
khuli aankh ke dil-nashin KHwab ki
ek taswir mein
jis ki tabir azalon se madum hai
kahan hans rahe ho
pas-e-qahqaha
audible range se bhi bahut dur niche
karahon ki lahren fana ho rahi hain
kahan dekhte ho
sitaron ke pichhe nai kahkashaen
jahan pe tajazub bhi is par jaisa
repulsion bhi jo ki yahan bhogte ho
kahan ja rahe ho
- Book : Quarterly Tasteer Lahore (Pg. 165)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : Roon No.1 1st Floor, Awan Palaza, Shadman Market (7,8, October 98 To March 1999)
- Edition : 7,8, October 98 To March 1999
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.