kahani
baḌī lambī kahānī hai sunoge?
sahar kī aañkh khulne bhī na paa.ī thī
mire tarkash ne lākhoñ tiir barsā.e shuāoñ ke
kisī ne āftābāna har ik zarre ko chamkāyā
kisī ne māhtābī chādareñ har samt phailā.īñ
koī jugnū kī sūrat jhilmilāyā
inhīñ bikhre hue tīroñ ke zer-e-sāya
maiñ chaltā rahā
har moḌ pe koī na koī vāqi.a
koī na koī hādsa
mere ujāle ko lipaT kar chaaT kar
dīmak-zada kartā rahā lekin
safar kī dhun salāmat
jumbish-e-pā aage baḌhtī hī rahī
koh-e-girāñ piste rahe
sāgar kī lahreñ dam-ba-ḳhud hotī rahīñ
maiñ baḌhte baḌhte sarhad-e-imroz tak aa pahuñchā
ye maanā duur hai manzil
ye maanā ābla-pā huuñ
ġhubār-e-gardish-e-ayyām meñ lipTā huā
lekin abhī phailā huā hai silsila mere ujāloñ kā
abhī tarkash meñ lākhoñ tiir baaqī haiñ
abhī merī kahānī ḳhatm ko pahuñchī nahīñ hai
ye baḌī lambī kahānī hai
baDi lambi kahani hai sunoge?
sahar ki aankh khulne bhi na pai thi
mere tarkash ne lakhon tir barsae shuaon ke
kisi ne aaftabana har ek zarre ko chamkaya
kisi ne mahtabi chadaren har samt phailain
koi jugnu ki surat jhilmilaya
inhin bikhre hue tiron ke zer-e-saya
main chalta raha
har moD pe koi na koi waqia
koi na koi hadsa
mere ujale ko lipaT kar chaT kar
dimak-zada karta raha lekin
safar ki dhun salamat
jumbish-e-pa aage baDhti hi rahi
koh-e-giran piste rahe
sagar ki lahren dam-ba-KHud hoti rahin
main baDhte baDhte sarhad-e-imroz tak aa pahuncha
ye mana dur hai manzil
ye mana aabla-pa hun
ghubar-e-gardish-e-ayyam mein lipTa hua
lekin abhi phaila hua hai silsila mere ujalon ka
abhi tarkash mein lakhon tir baqi hain
abhi meri kahani KHatm ko pahunchi nahin hai
ye baDi lambi kahani hai
- Book : Sarhane Ka Charagh (Pg. 19)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.