kahani ek raat ki
sun rahā huuñ der se dhīmī sī dastak kī sadā
kaun hogā is añdherī raat meñ
hogā koī
ajnabī raahī kī dastak to nahīñ
jo kisī pur-haul saa.e ke lapakte qahqahe kī guuñj se
bach ke aa niklā hai mere ḳhāna-e-tārīk tak
vāqa.ī vahshat-zada hogā agar raahī koī
is qadar mohtāt sī āvāz kyuuñ
is qadar dhīmī sī chaap
niim kī shāḳhoñ ke pīchhe uf ye kauñde kī lapak
aur uḌte abr-pāroñ kī garaj
tez-rau āñdhī ke qadmoñ kī ye bhārī āhaTeñ
tez bārish ke haiñ āsār-e-muhīb
bhiig jā.egā koī
band darvāze ko ab to khol denā chāhiye
jaane phir ye kaun apnī saḳht bāñhoñ meñ
jakaḌtā hai mujhe
jaane kyuuñ ruk ruk ga.e mere azā.em ke qadam
kaun hai is hajla-e-tārīk meñ mere sivā
jāntā huuñ mashriqī ruḳh par tipā.ī ke qarīb
shaam ko jaltā rahā āhista bosīda charāġh
ab vahāñ tak jā sakūñgā kis tarah
sā.ebānoñ se pighaltī be-karāñ zulmat kī rau
baḌh ga.ī hai toḌ kar saare hudūd
chīḳh kar kis ko pukārūñ kis ko maiñ āvāz duuñ
niim kī larzīda shāḳhoñ meñ garajtā hai ufuq
shor baḌhtā jā rahā hai kyā karūñ
aur vo dastak kī dhīmī sī sadā
ġhāliban tā-hashr ubhregī nahīñ
kyā bhayānak raat hai
sun raha hun der se dhimi si dastak ki sada
kaun hoga is andheri raat mein
hoga koi
ajnabi rahi ki dastak to nahin
jo kisi pur-haul sae ke lapakte qahqahe ki gunj se
bach ke aa nikla hai mere KHana-e-tarik tak
waqai wahshat-zada hoga agar rahi koi
is qadar mohtat si aawaz kyun
is qadar dhimi si chap
nim ki shaKHon ke pichhe uf ye kaunde ki lapak
aur uDte abr-paron ki garaj
tez-rau aandhi ke qadmon ki ye bhaari aahaTen
tez barish ke hain aasar-e-muhib
bhig jaega koi
band darwaze ko ab to khol dena chahiye
jaane phir ye kaun apni saKHt banhon mein
jakaDta hai mujhe
jaane kyun ruk ruk gae mere azaem ke qadam
kaun hai is hajla-e-tarik mein mere siwa
jaanta hun mashriqi ruKH par tipai ke qarib
sham ko jalta raha aahista bosida charagh
ab wahan tak ja sakunga kis tarah
saebanon se pighalti be-karan zulmat ki rau
baDh gai hai toD kar sare hudud
chiKH kar kis ko pukarun kis ko main aawaz dun
nim ki larzida shaKHon mein garajta hai ufuq
shor baDhta ja raha hai kya karun
aur wo dastak ki dhimi si sada
ghaaliban ta-hashr ubhregi nahin
kya bhayanak raat hai
- Book : sheerazah (Pg. 45)
- Author : makhmoor saeedi,Parem Gopal Mittal
- Publication : P -K Publication 3072 Partap stareet gola Market -Daryaganj delhi-6 (1973)
- Edition : 1973
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.