kahani gul-zamina ki
gul-zamīna!
suno
toda-e-ḳhāk par
apnī koñpal sī uñglī se
kyā likh rahī ho?
gul-zamīna ne sharbat bharī āñkheñ uupar uThā.īñ aur kahne lagii...
kuchh hī din qabl
ye toda-e-ḳhāk hī merā schōl thā
maiñ ne allāh kā naam
yā-hāfizo
us kī dīvār par likh diyā thā
mere kāġhaz, qalam, aur kitābeñ
mere kumbe ke ham-rāh sab miT chuke haiñ
maiñ yahāñ roz aatī huuñ
apnī yādoñ ke baste se
pichhle sabaq DhūñDhtī huuñ
safha-e-ḳhāk par un ko likhtī huuñ
aur lauT jaatī huuñ
merī qismat meñ paḌhnā nahīñ hai
na ho!
merā āmoḳhta
merā likhnā to jaarī rahe
gul-zamina!
suno
toda-e-KHak par
apni konpal si ungli se
kya likh rahi ho?
gul-zamina ne sharbat bhari aankhen upar uThain aur kahne lagi
kuchh hi din qabl
ye toda-e-KHak hi mera school tha
main ne allah ka nam
ya-hafizo
us ki diwar par likh diya tha
mere kaghaz, qalam, aur kitaben
mere kumbe ke ham-rah sab miT chuke hain
main yahan roz aati hun
apni yaadon ke baste se
pichhle sabaq DhunDhti hun
safha-e-KHak par un ko likhti hun
aur lauT jati hun
meri qismat mein paDhna nahin hai
na ho!
mera aamoKHta
mera likhna to jari rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.