kahani
maiñ ne ek kahānī sochī hai
maiñ use kabhī nahīñ likhūñgā
likhī huī kahāniyāñ paḌh kar
log bahut sī bāteñ farz kar lete haiñ
aur farzī kahāniyāñ likhnī shurūa kar dete haiñ
maiñ ne ye kahānī us se pahle kisī se nahīñ sunī
kahīñ paḌhī nahīñ aur farz bhī nahīñ kī
us ke kirdār kahānī shurūa hone se pahle
yā shāyad ba.ad meñ mar chuke haiñ
vo ek dūsre se kabhī nahīñ mile
yā shāyad hamesha saath rahe haiñ
maiñ un ke baare meñ yaqīn se kuchh nahīñ kah saktā
ġhair-farzī kahāniyoñ ke baare meñ
koī bhī yaqīn se kuchh nahīñ kah saktā
un meñ sab kuchh ḳhudā kī tarah ġhair-yaqīnī
maut kī tarah achānak
aur kabhī kabhī mohabbat kī tarah ḳhūb-sūrat aur ġhair-mutavaqqe hotā hai
us kahānī kī kahānī yuuñ shurūa
magar aisī kahāniyāñ kisī ko sunā.ī nahīñ jātīñ
varna log ḳhud ko un kā kirdār samajhne lagte haiñ
yā shāyad aisā hotā bhī hai
ye kahānī mere paas dushman kī kamzoriyoñ ke raaz
aur taash ke khel meñ turup ke pattoñ kī tarah hai
maiñ ise kabhī nahīñ likhūñgā
ise kisī ko nahīñ sunā.ūñgā
is ke kirdāroñ aur ḳhud ko bhī nahīñ
apne dostoñ aur us laḌkī ko bhī nahīñ
jis ke liye maiñ ne ek kahānī sochī hai
main ne ek kahani sochi hai
main use kabhi nahin likhunga
likhi hui kahaniyan paDh kar
log bahut si baaten farz kar lete hain
aur farzi kahaniyan likhni shurua kar dete hain
main ne ye kahani us se pahle kisi se nahin suni
kahin paDhi nahin aur farz bhi nahin ki
us ke kirdar kahani shurua hone se pahle
ya shayad baad mein mar chuke hain
wo ek dusre se kabhi nahin mile
ya shayad hamesha sath rahe hain
main un ke bare mein yaqin se kuchh nahin kah sakta
ghair-farzi kahaniyon ke bare mein
koi bhi yaqin se kuchh nahin kah sakta
un mein sab kuchh KHuda ki tarah ghair-yaqini
maut ki tarah achanak
aur kabhi kabhi mohabbat ki tarah KHub-surat aur ghair-mutawaqqe hota hai
us kahani ki kahani yun shurua
magar aisi kahaniyan kisi ko sunai nahin jatin
warna log KHud ko un ka kirdar samajhne lagte hain
ya shayad aisa hota bhi hai
ye kahani mere pas dushman ki kamzoriyon ke raaz
aur tash ke khel mein turup ke patton ki tarah hai
main ise kabhi nahin likhunga
ise kisi ko nahin sunaunga
is ke kirdaron aur KHud ko bhi nahin
apne doston aur us laDki ko bhi nahin
jis ke liye main ne ek kahani sochi hai
- Book : saarii nazmain (Pg. 29)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.