kahaniyan
yahāñ Thiik is jagah
jahāñ ek chaTān ek gahrī khaa.ī par jhukī huī hai
yahāñ ek chhitnār daraḳht thā
vo parinde yahāñ aate the
jin ke baare meñ logoñ meñ
ajiib ajiib kahāniyāñ mash.hūr haiñ
is chaTān ke pahlū meñ
ek ātish-kada hai
jis meñ har vaqt aag raushan rahtī hai
jis se us ke chāroñ or baiThe logoñ ke chehre
is qadar raushan ho jaate haiñ
ki is chhitnār daraḳht par baiThe parinde
ḳhauf-zada ho jaate haiñ
lekin ab yahāñ koī chhitnār daraḳht nahīñ
ātish-kada sar ho gayā
aur us aag se raushan chehre bhī
bujh ga.e
ab sirf khaa.ī kī taraf jhukī chaTān baaqī rah ga.ī hai
yā vo ajīb-o-ġharīb kahāniyāñ
jo khaa.ī aur jhukī chaTān ke gird chakkar lagā lagā kar
ab burī tarah uktā chukī haiñ
yahan Thik is jagah
jahan ek chaTan ek gahri khai par jhuki hui hai
yahan ek chhitnar daraKHt tha
wo parinde yahan aate the
jin ke bare mein logon mein
ajib ajib kahaniyan mashhur hain
is chaTan ke pahlu mein
ek aatish-kada hai
jis mein har waqt aag raushan rahti hai
jis se us ke chaaron or baiThe logon ke chehre
is qadar raushan ho jate hain
ki is chhitnar daraKHt par baiThe parinde
KHauf-zada ho jate hain
lekin ab yahan koi chhitnar daraKHt nahin
aatish-kada sar ho gaya
aur us aag se raushan chehre bhi
bujh gae
ab sirf khai ki taraf jhuki chaTan baqi rah gai hai
ya wo ajib-o-gharib kahaniyan
jo khai aur jhuki chaTan ke gird chakkar laga laga kar
ab buri tarah ukta chuki hain
- Book : aaj (Pg. 349)
- Author : ajmal
- Publication : 316madiina maal ,abdullah haroon road sadar karachi-74400 (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.