kahin zehn so na jae
na chale zamīñ to kaise
lab-e-tuḳhm-e-tīrgī se
koī shāḳh-e-nūr nikle koī āftāb phūTe
ye tamām rang-o-nik.hat ye tamām zindagī jab
harakat se hai 'ibārat
to chalo uTho ki ham bhī
kabhī Daal Daal jhūleñ
kabhī phuul phuul mahkeñ
yūñhī baiThe baiThe varna
kahīñ haath kho na jaa.eñ
kahīñ paañv so na jaa.eñ
kuchh idhar-udhar bhī dekho
koī nek-o-bad hī socho
kahīñ aañkh jam na jaa.e
kahīñ zehn so na jaa.e
na chale zamin to kaise
lab-e-tuKHm-e-tirgi se
koi shaKH-e-nur nikle koi aaftab phuTe
ye tamam rang-o-nikhat ye tamam zindagi jab
harakat se hai 'ibarat
to chalo uTho ki hum bhi
kabhi Dal Dal jhulen
kabhi phul phul mahken
yunhi baiThe baiThe warna
kahin hath kho na jaen
kahin panw so na jaen
kuchh idhar-udhar bhi dekho
koi nek-o-bad hi socho
kahin aankh jam na jae
kahin zehn so na jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.