kahkashan
hazrat-e-insāñ kī ḳhātir hī banī hai kahkashāñ
bachcho lākhoñ saal pahle se sajī hai kahkashāñ
kahkashā.eñ kitnī haiñ likhne se aajiz hai qalam
kahkashāoñ kī kabhī gintī nahīñ kar sakte ham
kahkashāoñ meñ nazar aa.e sitāroñ kā hujūm
sūrajoñ kī kahkashāoñ meñ machī rahtī hai dhuum
kahkashā.eñ do baḌī haiñ kar lo bachcho in ko yaad
dūdhiyā paTTī baḌī hai andromeda ke baad
dūdhiyā paTTī meñ ek million sitāre pāoge
andromeda meñ bhī lākhoñ nazāre pāoge
kahkashāñ ke fāsle lambe bahut haiñ jaan lo
nāpte haiñ in ko nuurī saal meñ bachcho suno
phailtī haiñ kahkashā.eñ rafta rafta har taraf
hai na.ī science meñ 'hāfiz' inheñ hāsil sharaf
hazrat-e-insan ki KHatir hi bani hai kahkashan
bachcho lakhon sal pahle se saji hai kahkashan
kahkashaen kitni hain likhne se aajiz hai qalam
kahkashaon ki kabhi ginti nahin kar sakte hum
kahkashaon mein nazar aae sitaron ka hujum
surajon ki kahkashaon mein machi rahti hai dhum
kahkashaen do baDi hain kar lo bachcho in ko yaad
dudhiya paTTi baDi hai andromeda ke baad
dudhiya paTTi mein ek million sitare paoge
andromeda mein bhi lakhon nazare paoge
kahkashan ke fasle lambe bahut hain jaan lo
napte hain in ko nuri sal mein bachcho suno
phailti hain kahkashaen rafta rafta har taraf
hai nai science mein 'hafiz' inhen hasil sharaf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.