kahkashan
zamīñ se to ye baat hai duur kī
magar kahkashāñ hai saḌak nuur kī
kahīñ saf-ba-saf rañg kī botaleñ
jalā.ī haiñ yā charḳh ye mash.aleñ
kareñ ġhaur to aql so jā.egī
nazar itne tāroñ meñ kho jā.egī
ye raste meñ sho.ale bichhā.e ga.e
ki bijlī ke TukḌe uḌaa.e ga.e
idhar se udhar tak hai dariyā-e-nūr
ki ā.īna ho gayā chuur chuur
zamīñ par kahāñ is qadar rañg-o-rūp
ye shāyad farishtoñ kī hai dauḌ dhuup
nazar aa rahā hai ye tāroñ kā baaġh
farishtoñ ne raushan kiye haiñ charāġh
vo bharpūr hai raushnī kā samāñ
ki jaise pise chāñd sūraj yahāñ
samāñ dekh kar tum kahāñ kho ga.e
'chaman' jī tum aa kar yahāñ so ga.e
zamin se to ye baat hai dur ki
magar kahkashan hai saDak nur ki
kahin saf-ba-saf rang ki botalen
jalai hain ya charKH ye mashalen
karen ghaur to aql so jaegi
nazar itne taron mein kho jaegi
ye raste mein shoale bichhae gae
ki bijli ke TukDe uDae gae
idhar se udhar tak hai dariya-e-nur
ki aaina ho gaya chur chur
zamin par kahan is qadar rang-o-rup
ye shayad farishton ki hai dauD dhup
nazar aa raha hai ye taron ka bagh
farishton ne raushan kiye hain charagh
wo bharpur hai raushni ka saman
ki jaise pise chand suraj yahan
saman dekh kar tum kahan kho gae
'chaman' ji tum aa kar yahan so gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.