kai sal baad
mile ham jo ab ke ka.ī saal ba.ad
tumheñ bhī malāmat mujhe bhī malāl
tumhāre bhī chehre ke phīke the rañg
merā chehra jaise bhaTaktā malañg
ka.ī raaz chup kī sadāoñ meñ the
hamārī sulagtī vafāoñ meñ the
ajab vaqt o manzar ajab māh-o-sāl
na koī javāb aur na koī savāl
baḌī koshisheñ kī ki ik ho sakeñ
zarā khul ke hañs leñ zarā ro sakeñ
guzishta ke kuchh to nishāñ dho sakeñ
magar ab ye mumkin kahāñ thā 'nadīm'
na pahle se din the na pahle sī raat
na pahle se lahje na pahle sī baat
na pahle sā ham pe mohabbat kā jaal
na pahle sā jīvan na hī māh-o-sāl
mile hum jo ab ke kai sal baad
tumhein bhi malamat mujhe bhi malal
tumhaare bhi chehre ke phike the rang
mera chehra jaise bhaTakta malang
kai raaz chup ki sadaon mein the
hamari sulagti wafaon mein the
ajab waqt o manzar ajab mah-o-sal
na koi jawab aur na koi sawal
baDi koshishen ki ki ek ho saken
zara khul ke hans len zara ro saken
guzishta ke kuchh to nishan dho saken
magar ab ye mumkin kahan tha 'nadim'
na pahle se din the na pahle si raat
na pahle se lahje na pahle si baat
na pahle sa hum pe mohabbat ka jal
na pahle sa jiwan na hi mah-o-sal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.