kaise
agar is zindagī ko
ek phuul
aur ek ḳhvāb
aur ek tum milte
to phir ye zindagī kā canvas rañgoñ se bhar jaatā
mayassar hai mujhe bhī
ek phuul
aur ek ḳhvāb
aur ek tum
lekin
kabhī tum saath hote ho
to phir vo phuul
merī dastaras hī meñ nahīñ hotā
kabhī vo phuul
merī uñgliyoñ kī por ko chhū kar
havā meñ raqs kartā hai
to saare ḳhvāb mujh se ruuTh jaate haiñ
kabhī rūThe hue ḳhvāboñ se maiñ
ham raqs hotā huuñ
to phir tum
titliyoñ ke rañg
un ke pañkh
aur un kī subuk pairāhnī se ruuTh kar
apne badan par
ajnabī bezār-pan kī ek chādar taan lete ho
maiñ kaise
titliyoñ ke pīchhe bhāgūñ
apne TuuTe ḳhvāb joḌoñ
aur phir
is ajnabī bezār-pan kī chādaroñ ko noch Dālūñ
maiñ kaise zindagī ke saare mausam saath rakkhūñ
agar is zindagi ko
ek phul
aur ek KHwab
aur ek tum milte
to phir ye zindagi ka canwas rangon se bhar jata
mayassar hai mujhe bhi
ek phul
aur ek KHwab
aur ek tum
lekin
kabhi tum sath hote ho
to phir wo phul
meri dastaras hi mein nahin hota
kabhi wo phul
meri ungliyon ki por ko chhu kar
hawa mein raqs karta hai
to sare KHwab mujh se ruTh jate hain
kabhi ruThe hue KHwabon se main
hum raqs hota hun
to phir tum
titliyon ke rang
un ke pankh
aur un ki subuk pairahni se ruTh kar
apne badan par
ajnabi bezar-pan ki ek chadar tan lete ho
main kaise
titliyon ke pichhe bhagun
apne TuTe KHwab joDon
aur phir
is ajnabi bezar-pan ki chadaron ko noch Dalun
main kaise zindagi ke sare mausam sath rakkhun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.