kaise samjhaen nani ko
das rūpa.e fī botal paanī
hakkā-bakkā rah ga.ī naanī
apnā bachpan yaad kiyā to
arzānī sī thī arzānī
bārah aane ser aslī ghī
gyārah aane tola chāñdī
kele the do paise darjan
chāval pāñch aane pañserī
biscope ticket ek aana
ek aTThannī kā pājāma
schōloñ meñ fees nahīñ thī
collage do rūpa.e māhāna
naanā kī tanḳhvāh jo pūchhī
kul paiñtālīs rūpaya niklī
paiñtālīs hazār ke lag-bhag
paate haiñ abbū aur ammī
das rupae fi botal pani
hakka-bakka rah gai nani
apna bachpan yaad kiya to
arzani si thi arzani
barah aane ser asli ghi
gyarah aane tola chandi
kele the do paise darjan
chawal panch aane panseri
biscope ticket ek aana
ek aTThanni ka pajama
schoolon mein fees nahin thi
collage do rupae mahana
nana ki tanKHwah jo puchhi
kul paintalis rupaya nikli
paintalis hazar ke lag-bhag
pate hain abbu aur ammi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.