kaj-rawi ka ishtihaar
maiñ to huuñ shā.er kī ruuh
shā.er kī ḳhāsiyyat
ek ḳhushbū ik tilism
aur mirā beTā ki hai shā.er kā jism
shā.iroñ kī ḳhaslatoñ kā aa.ina
kaj-ravī kā ishtihār
hai sameTe apne andar aib kī har ek qism
nā-samajh āvāra-o-bekār shaidā-e-qimār
āshnāoñ kā musāhib kam-ayār
harza-go bāda-gusār
kaash maiñ hotā sharābī aur kabābī aur vo nek-o-shi.ār
bā-safā be-aib sā merī tarah
log phir mujh ko samajhte shā.er-e-rañgīñ-ḳhayāl-o-bā-kamāl
aur mirā beTā bhī hotā ḳhush-ḳhisāl
dil na hotā pur-malāl
main to hun shaer ki ruh
shaer ki KHasiyyat
ek KHushbu ek tilism
aur mera beTa ki hai shaer ka jism
shairon ki KHaslaton ka aaina
kaj-rawi ka ishtihaar
hai sameTe apne andar aib ki har ek qism
na-samajh aawara-o-bekar shaida-e-qimar
aashnaon ka musahib kam-ayar
harza-go baada-gusar
kash main hota sharabi aur kababi aur wo nek-o-shiar
ba-safa be-aib sa meri tarah
log phir mujh ko samajhte shaer-e-rangin-KHayal-o-ba-kamal
aur mera beTa bhi hota KHush-KHisal
dil na hota pur-malal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.