kakDi
ye garmī kā mausam hai aur āj-kal
haiñ bāzār meñ har taraf phal hī phal
kahīñ mausamī ke haiñ Thele bhare
dukānoñ meñ rakhe kahīñ sañgtare
kahīñ Dher haiñ ḳharbūzoñ ke paḌe
haiñ tarbūz fōtbāl se bhī baḌe
lagātā hai āvāz koī yahāñ
ki pachchīs paise meñ do kakḌiyāñ
ye ThanDī haiñ mīThī haiñ kachchī bhī haiñ
mulā.em haiñ patlī haiñ sastī bhī haiñ
ye sab ne.amateñ rab ne kī haiñ atā
hai lāzim kareñ shukr us kā adā
ye garmi ka mausam hai aur aaj-kal
hain bazar mein har taraf phal hi phal
kahin mausami ke hain Thele bhare
dukanon mein rakhe kahin sangtare
kahin Dher hain KHarbuzon ke paDe
hain tarbuz footbaal se bhi baDe
lagata hai aawaz koi yahan
ki pachchis paise mein do kakDiyan
ye ThanDi hain miThi hain kachchi bhi hain
mulaem hain patli hain sasti bhi hain
ye sab neamaten rab ne ki hain ata
hai lazim karen shukr us ka ada
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.