Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kal aur aaj

Ahmad Rahi

kal aur aaj

Ahmad Rahi

MORE BYAhmad Rahi

    kal jis jagah ye chhāñv ghanī thī

    jahāñ pe tum ne mujh se va.ada

    liyā thā dobāra milne

    maiñ us jagah pe aayā thā

    magar vahāñ dhuup kaḌī thī

    tum to na thiiñ lekin

    tum se miltī-jultī

    jhurriyāñ jhurriyāñ chehre vaalī

    koī aurat

    kabhī jo ḳhud bhī

    kisī se milne

    isī jagah par aa.ī hogī

    qahr-ālūd nigāhoñ se mujhe ghuur rahī thī

    maiñ lauT aayā

    tere aur mere jazboñ ke

    biich meñ ek fasīl khaḌī thī

    aur uupar se dhuup kaḌī thii!

    kal jis jagah ye chhanw ghani thi

    jahan pe tum ne mujh se wada

    liya tha dobara milne ka

    main us jagah pe aaya tha

    magar wahan dhup kaDi thi

    tum to na thin lekin

    tum se milti-julti

    jhurriyan jhurriyan chehre wali

    koi aurat

    kabhi jo KHud bhi

    kisi se milne

    isi jagah par aai hogi

    qahr-alud nigahon se mujhe ghur rahi thi

    main lauT aaya

    tere aur mere jazbon ke

    bich mein ek fasil khaDi thi

    aur upar se dhup kaDi thi!

    Source :
    • Book : Rag-e-jan (Pg. 132)
    • Author : Ahmad Rahi
    • Publication : Al-Hamd Publication (2005)
    • Edition : 2005
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now