kal humne sapna dekha hai
kal ham ne sapnā dekhā hai
jo apnā ho nahīñ saktā hai
us shaḳhs ko apnā dekhā hai
vo shaḳhs ki jis kī ḳhātir ham
is des phireñ us des phireñ
jogī kā banā kar bhes phireñ
chāhat ke nirāle giit likheñ
jī mohne vaale giit likheñ
dhartī ke mahakte bāġhoñ se
kaliyoñ kī jholī bhar laa.eñ
ambar ke sajīle manDal se
tāroñ kī Dolī bhar laa.eñ
haañ kis ke liye sab us ke liye
vo jis ke lab par Tesū haiñ
vo jis ke naināñ aahū haiñ
jo ḳhaar bhī hai aur ḳhushbū bhī
jo dard bhī hai aur daarū bhī
vo allhaḌ sī vo chanchal sī
vo shā.er sī vo pāgal sī
log āp-hī-āp samajh jaa.eñ
ham naam na us kā batlā.eñ
ai dekhne vaalo tum ne bhī
us naar kī piit kī āñchoñ meñ
is dil kā tiinā dekhā hai?
kal ham ne sapnā dekhā hai
kal hum ne sapna dekha hai
jo apna ho nahin sakta hai
us shaKHs ko apna dekha hai
wo shaKHs ki jis ki KHatir hum
is des phiren us des phiren
jogi ka bana kar bhes phiren
chahat ke nirale git likhen
ji mohne wale git likhen
dharti ke mahakte baghon se
kaliyon ki jholi bhar laen
ambar ke sajile manDal se
taron ki Doli bhar laen
han kis ke liye sab us ke liye
wo jis ke lab par Tesu hain
wo jis ke nainan aahu hain
jo KHar bhi hai aur KHushbu bhi
jo dard bhi hai aur daru bhi
wo allhaD si wo chanchal si
wo shaer si wo pagal si
log aap-hi-ap samajh jaen
hum nam na us ka batlaen
ai dekhne walo tum ne bhi
us nar ki pit ki aanchon mein
is dil ka tina dekha hai?
kal hum ne sapna dekha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.