Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kal jab tariKH raqam hogi

Sada Ambalvi

kal jab tariKH raqam hogi

Sada Ambalvi

MORE BYSada Ambalvi

    kal jab tārīḳh raqam hogī

    aur itihās likhā jā.egā

    in par charchā lāzim hogī

    in par harf zarūr aa.egā

    bike hue ye T v anchor

    bhuul sahāfat sab qadreñ

    āqāoñ ke kahe mutābiq

    ghaḌte haiñ jo jhūTī ḳhabareñ

    aaj baḌe ma.arūf sahī par

    kal in par thūkā jā.egā

    in par charchā lāzim hogī

    in par harf zarūr aa.egā

    jo baiTh adl masnad par

    har hukm bajā.eñ hākim

    aur kareñ faisle dekh kar

    bas rutba tabqa mujrim

    ye aaj haiñ ahl-e-sharf bhale

    kal in ko kosā jā.egā

    in par charchā lāzim hogī

    in par harf zarūr aa.egā

    kal jab tariKH raqam hogi

    aur itihas likha jaega

    in par charcha lazim hogi

    in par harf zarur aaega

    bike hue ye T w anchor

    bhul sahafat ki sab qadren

    aaqaon ke kahe mutabiq

    ghaDte hain jo jhuTi KHabaren

    aaj baDe maruf sahi par

    kal in par thuka jaega

    in par charcha lazim hogi

    in par harf zarur aaega

    jo baiTh adl ki masnad par

    har hukm bajaen hakim ka

    aur karen faisle dekh kar

    bas rutba tabqa mujrim ka

    ye aaj hain ahl-e-sharf bhale

    kal in ko kosa jaega

    in par charcha lazim hogi

    in par harf zarur aaega

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now