kal raat
kal raat
vo thakā huā
chup chup
udaas udaas
suntā rahā saḌak se guzartī basoñ kā shor
pīpal kā pattā TuuT ke dīvār Dhā gayā
āñtoñ kā dard niind kī pariyoñ ko khā gayā
jhunjhlā ke us ne chāñdī kā dīpak bujhā diyā
ākāsh ko sameT ke nīche girā diyā
phailī huī zamīñ ko dhueñ sā uḌā diyā
phir kuchh nahīñ
na khet, na maidāñ na rāste
bas ik nigāh
khiḌkī kī rañg-jāliyāñ
(bas tiin chaar aane kī do chaar goliyāñ)
kal raat
wo thaka hua
chup chup
udas udas
sunta raha saDak se guzarti bason ka shor
pipal ka patta TuT ke diwar Dha gaya
aanton ka dard nind ki pariyon ko kha gaya
jhunjhla ke us ne chandi ka dipak bujha diya
aakash ko sameT ke niche gira diya
phaili hui zamin ko dhuen sa uDa diya
phir kuchh nahin
na khet, na maidan na raste
bas ek nigah
khiDki ki rang-jaliyan
(bas tin chaar aane ki do chaar goliyan)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.