kal se tum aKHbar na lana
sub.h sub.h achchhā lagtā hai
ghar se nikal kar sair ko jaanā
ThanDī ThanDī narm havāoñ ke sāgar meñ muñh ko dhonā
aur tar-o-tāza ho jaanā
lawn meñ bogonvalia kī Daalī pe bulbul kā itrānā
phudak phudak kar jhūle jaanā
lekin jab itnī hī der meñ
main gate par aa kar koī
kāġhzāt kuchh de jaatā hai
jin ke tahrīrī ḳhanjar se
bele kī ḳhushbū ke parinde
roz hī ghāyal ho jaate haiñ
tab dil se āvāz aatī hai
aaj maiñ hawker se ye kah duuñ
kal se tum aḳhbār na laanā
subh subh achchha lagta hai
ghar se nikal kar sair ko jaana
ThanDi ThanDi narm hawaon ke sagar mein munh ko dhona
aur tar-o-taza ho jaana
lawn mein bogonwalia ki Dali pe bulbul ka itrana
phudak phudak kar jhule jaana
lekin jab itni hi der mein
main gate par aa kar koi
kaghzat kuchh de jata hai
jin ke tahriri KHanjar se
bele ki KHushbu ke parinde
roz hi ghayal ho jate hain
tab dil se aawaz aati hai
aaj main hawker se ye kah dun
kal se tum aKHbar na lana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.