kal sham
kal shaam T.V par
badalte vaqt ke mauzūa pe tum ne
kahī thiiñ jitnī bhī bāteñ
baḌī dilchasp thiiñ vo aur mudallal bhī
isī daurān
ik ḳhvāhish huī dil meñ
mirī Table pe jo tasvīr rahtī hai tumhārī
aur T.V par dikhā.ī dene vaale chehre ko
ik baar dekhūñ to zarā lekin
mirī ainak kahīñ gum ho ga.ī thī
kal sham TV par
badalte waqt ke mauzua pe tum ne
kahi thin jitni bhi baaten
baDi dilchasp thin wo aur mudallal bhi
isi dauran
ek KHwahish hui dil mein
meri Table pe jo taswir rahti hai tumhaari
aur TV par dikhai dene wale chehre ko
ek bar dekhun to zara lekin
meri ainak kahin gum ho gai thi
- Book : Kitab Gumrah Kar Rahi Hai (Pg. 97)
- Author :Shahram Sarmadi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.