kalima-e-tayyiba ka pahla lafz la
lā kī manzil manzil-e-dushvār hai pur-ḳhār hai
kufr se dāman chhuḌānā bhī baḌā āzār hai
tujh se mumkin ho to pahle lā kī manzil se guzar
pahle ġhairullāh se dāman chhuḌā o be-ḳhabar
us kī vahdat us kī yaktā.ī kā kalima baa'd meñ
pahle masnūī ḳhudāoñ se magar inkār kar
kufr ko Thokar lagātā hai jo lā kahtā hai tū
lā tū kahtā hai zabāñ se ruuh kartī hai vuzū
dil se saare ḳhauf lālach ko miTā detā hai lā
kufr ke aivān kī chūleñ hilā detā hai lā
lā vo Thokar hai ki jis se gir paḌe lāt-o-manāt
lā had-e-īmān hai lā raushnī lā hai hayāt
e'tirāf-e-jahl hai lā e'tirāf-e-gumrahī
lā se pahle bas añdherā lā subūt-e-āgahī
ḳhalq kā ḳhāliq se rabt-o-silsila hai harf-e-lā
ḳhair-o-shar ke ma.arke kī ibtidā hai harf-e-lā
la ki manzil manzil-e-dushwar hai pur-KHar hai
kufr se daman chhuDana bhi baDa aazar hai
tujh se mumkin ho to pahle la ki manzil se guzar
pahle ghairullah se daman chhuDa o be-KHabar
us ki wahdat us ki yaktai ka kalima ba'd mein
pahle masnui KHudaon se magar inkar kar
kufr ko Thokar lagata hai jo la kahta hai tu
la tu kahta hai zaban se ruh karti hai wuzu
dil se sare KHauf lalach ko miTa deta hai la
kufr ke aiwan ki chulen hila deta hai la
la wo Thokar hai ki jis se gir paDe lat-o-manat
la had-e-iman hai la raushni la hai hayat
e'tiraf-e-jahl hai la e'tiraf-e-gumrahi
la se pahle bas andhera la subut-e-agahi
KHalq ka KHaliq se rabt-o-silsila hai harf-e-la
KHair-o-shar ke marke ki ibtida hai harf-e-la
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.