kalkatta
har sailānī ye kahtā hai
shahr anokhā kalkatta hai
bhārat kā har suube vaalā
is ke dāman meñ bastā hai
is ke fuTpāthoñ par har dam
logoñ kā relā chaltā hai
lambī chauḌī sab saḌkoñ par
caroñ kā dariyā bahtā hai
na.ī tramoñ kā ab chalnā
āñkhoñ ko achchhā lagtā hai
do do insāñ haiñ rikshe par
baar ye ik insāñ sahtā hai
ek hai metro railway jis se
vaqt safar kā bachtā hai
durgā puujā meñ kalkatta
jagmag jagmag kar uThtā hai
rosogulā mishTī doī
shaan nirālī hī rakhtā hai
machhlī se bañgālī bhaa.ī
mehmānoñ ko ḳhush kartā hai
josh bharā ye shahr hamesha
ik parcham thāme rahtā hai
dekh 'farāġh' apne sheroñ meñ
ab kalkatta bhī dikhtā hai
har sailani ye kahta hai
shahr anokha kalkatta hai
bhaarat ka har sube wala
is ke daman mein basta hai
is ke fuTpathon par har dam
logon ka rela chalta hai
lambi chauDi sab saDkon par
caron ka dariya bahta hai
nai tramon ka ab chalna
aankhon ko achchha lagta hai
do do insan hain rikshe par
bar ye ek insan sahta hai
ek hai metro railway jis se
waqt safar ka bachta hai
durga puja mein kalkatta
jagmag jagmag kar uThta hai
rosogula mishTi doi
shan nirali hi rakhta hai
machhli se bangali bhai
mehmanon ko KHush karta hai
josh bhara ye shahr hamesha
ek parcham thame rahta hai
dekh 'faragh' apne sheron mein
ab kalkatta bhi dikhta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.