kalpana
raat hai kitnī gahrī kaalī
dukh kī baat sujhāne vaalī
duur duur kī āvāzoñ ko
ujḌe gharoñ meñ laane vaalī
sar par hai ghanghor badriyā
dil meñ lagan pirītam ke milan kī
shor machātī baḌhtī aa.e
tez havā suune madhūban kī
chaḌhtā sāgar rasta roke
bairan bijlī jī ko Darā.e
duur bahut hai pī kī nagariyā
ham se to ab chalā na jaa.e
raat hai kitni gahri kali
dukh ki baat sujhane wali
dur dur ki aawazon ko
ujDe gharon mein lane wali
sar par hai ghanghor badriya
dil mein lagan piritam ke milan ki
shor machati baDhti aae
tez hawa sune madhuban ki
chaDhta sagar rasta roke
bairan bijli ji ko Darae
dur bahut hai pi ki nagariya
hum se to ab chala na jae
- Book : Saveera (Pg. 342)
- Author : Naziir Chaudhary
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.