kam-nigahi
shahr ke bāhar, vīrāne meñ
ik pagDanDī par tanhā sā
nanhā sā ik peḌ khaḌā thā
shāḳheñ us kī chhoTī chhoTī
patte kam kam
phal bhī thoḌe ikkā-dukkā
jaise kisī ne toḌ liye hoñ
lekin saaya ghanā ghanā thā
maiñ ne dekhā
ek musāfir us kī chhāñv meñ sustātā thā
thoḌī der meñ vo uTh baiThā
sāmāñ us ne safar kā bāñdhā
aur safar kī āsā.ish ko
peḌ se do ik phal bhī toḌe
hare hare kuchh patte noche
gaThrī meñ chupke se rakkhe
shahr ke raste par chalā niklā
thoḌī duur se lauT ke dekhā
pagDanDī par peḌ khaḌā thā
nanhā saa, vo tanhā tanhā!
rah-rau ThiTkā soch meñ Duubā
apne-āp se vo yuuñ bolā
is vīrāñ sī pagDanDī par
tanhā tanhā be-masraf sā
peḌ khaḌā hai! kyā kartā hai!
shahr ke bahar, virane mein
ek pagDanDi par tanha sa
nanha sa ek peD khaDa tha
shaKHen us ki chhoTi chhoTi
patte kam kam
phal bhi thoDe ikka-dukka
jaise kisi ne toD liye hon
lekin saya ghana ghana tha
main ne dekha
ek musafir us ki chhanw mein sustata tha
thoDi der mein wo uTh baiTha
saman us ne safar ka bandha
aur safar ki aasaish ko
peD se do ek phal bhi toDe
hare hare kuchh patte noche
gaThri mein chupke se rakkhe
shahr ke raste par chala nikla
thoDi dur se lauT ke dekha
pagDanDi par peD khaDa tha
nanha sa, wo tanha tanha!
rah-rau ThiTka soch mein Duba
apne-ap se wo yun bola
is viran si pagDanDi par
tanha tanha be-masraf sa
peD khaDa hai! kya karta hai!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.