kamra
ba-zāhir tum ko lagtā hai
ki sab kuchh paas hai mere
nahīñ hamdam
maiñ sab kuchh chhoḌ aayā huuñ
usī kachche makāñ ke uuprī kamre kī dīvāroñ
se lipTī chand tasvīroñ ke rangoñ meñ
jo ab tak saañs letī haiñ
vo tahrīreñ kitābeñ aur tanhā.ī kī bāteñ sab
usī kamre ke niile carpet par
aaj bhī vaise paḌī hoñgī
maiñ jaise rakh ke aayā thā
vo cigarette kā dhuāñ vo qahqahe
vo taash ke patte
vahī shatranj ke mohre
jo bāshinde the us chhoTī sī duniyā ke
usī kamre meñ zinda haiñ
usī kamre meñ zinda the
ba-zahir tum ko lagta hai
ki sab kuchh pas hai mere
nahin hamdam
main sab kuchh chhoD aaya hun
usi kachche makan ke upri kamre ki diwaron
se lipTi chand taswiron ke rangon mein
jo ab tak sans leti hain
wo tahriren kitaben aur tanhai ki baaten sab
usi kamre ke nile carpet par
aaj bhi waise paDi hongi
main jaise rakh ke aaya tha
wo cigarette ka dhuan wo qahqahe
wo tash ke patte
wahi shatranj ke mohre
jo bashinde the us chhoTi si duniya ke
usi kamre mein zinda hain
usi kamre mein zinda the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.