kamzori
nasīm-e-ḳhuld be-ḳhaufī se mere ghar meñ dar aa.ī
kahā maiñ ne ki tum
kab sho.ala-e-javvāla ban jāogī ḳhāshāk-e-dil-o-jāñ ko
jalā kar ḳhaak karnā hai
badan par thartharī taarī hai dīvāreñ laraztī haiñ
vo ThanDak hai ki bāloñ kī jaḌoñ meñ ḳhuun
jamtā jā rahā hai
har kaḌī chhat kī sikuḌ kar chashm aifyūñ-nosh ke mānind
chhoTī hotī jaatī hai
vo dekhūñ vo rahī ik gurba-miskīñ chhupī kone meñ baiThī hai
ab in taktī huī āñkhoñ ke bhūre malgaje bādal
gul-o-lāla sharar barsā nahīñ paate
vo ThanDak hai ki qalb hosh yaḳh-basta huā jaatā hai tum kab
sho.ala-e-javvāla banñe vaalī ho
bolo
nasīm-e-ḳhuld bolī mire tār-e-nafas meñ yuuñ
nihāñ saffāk laalī hai lahū jaise rag nāzuk meñ poshīda mujhe
āġhosh meñ le kar nichoḌo tum to añgāre Tapakte dekh pāoge mujhe
muTThī meñ bhar kar muñh meñ rakh lo pī ke dekho vo sunahrā
tiir huuñ maiñ jo gale meñ chubh ke ban jaatā hai
añgārā tumheñ jalnā nahīñ aatā
nasim-e-KHuld be-KHaufi se mere ghar mein dar aai
kaha main ne ki tum
kab shoala-e-jawwala ban jaogi KHashak-e-dil-o-jaan ko
jala kar KHak karna hai
badan par tharthari tari hai diwaren larazti hain
wo ThanDak hai ki baalon ki jaDon mein KHun
jamta ja raha hai
har kaDi chhat ki sikuD kar chashm aifyun-nosh ke manind
chhoTi hoti jati hai
wo dekhun wo rahi ek gurba-miskin chhupi kone mein baiThi hai
ab in takti hui aankhon ke bhure malgaje baadal
gul-o-lala sharar barsa nahin pate
wo ThanDak hai ki qalb hosh yaKH-basta hua jata hai tum kab
shoala-e-jawwala banne wali ho
bolo
nasim-e-KHuld boli mere tar-e-nafas mein yun
nihan saffak lali hai lahu jaise rag nazuk mein poshida mujhe
aaghosh mein le kar nichoDo tum to angare Tapakte dekh paoge mujhe
muTThi mein bhar kar munh mein rakh lo pi ke dekho wo sunahra
tir hun main jo gale mein chubh ke ban jata hai
angara tumhein jalna nahin aata
- Book : auraq salnama magazines (Pg. e-272p-260)
- Author : Wazir Agha,Arif Abdul Mateen
- Publication : Daftar Mahnama Auraq Lahore (1967 )
- Edition : 1967
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.