kañdhe jhuk jaate haiñ jab bojh se is lambe safar ke
haañp jaatā huuñ maiñ jab chaḌhte hue tez chaḌhāneñ
sāñseñ rah jaatī haiñ jab siine meñ ik guchchā sā ho kar
aur lagtā hai ki dam TuuT hī jā.egā yahīñ par
ek nannhī sī merī nazm sāmne aa kar
mujh se kahtī hai mirā haath pakaḌ kar, mere shā.er
laa, mere kandhoñ par rakh de, maiñ tirā bojh uThā luuñ!
kandhe jhuk jate hain jab bojh se is lambe safar ke
hanp jata hun main jab chaDhte hue tez chaDhanen
sansen rah jati hain jab sine mein ek guchcha sa ho kar
aur lagta hai ki dam TuT hi jaega yahin par
ek nannhi si meri nazm samne aa kar
mujh se kahti hai mera hath pakaD kar, mere shaer
la, mere kandhon par rakh de, main tera bojh uTha lun!
- Book : Yaar Julahe (Pg. 82)
- Author : Gulzar
- Publication : Vani prakashan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.