kangan bele ka
us ne mere haath meñ bāñdhā
ujlā kañgan bele kā
pahle pyaar se thāmī kalā.ī
ba.ad is ke haule haule pahnāyā
gahnā phūloñ kā
phir jhuk kar haath ko chuum liyā
phuul to āḳhir phuul hī the
murjhā hī ga.e
lekin merī rāteñ un kī ḳhushbū se ab tak raushan haiñ
bāñhoñ par vo lams abhī tak taaza hai
shāḳh-e-sanobar par ik chāñd damaktā hai
phuul kā gahnā
prem kā kangan
pyaar kā bandhan
ab tak merī yaad ke haath se lipTā huā hai
us ne mere hath mein bandha
ujla kangan bele ka
pahle pyar se thami kalai
baad is ke haule haule pahnaya
gahna phulon ka
phir jhuk kar hath ko chum liya
phul to aaKHir phul hi the
murjha hi gae
lekin meri raaten un ki KHushbu se ab tak raushan hain
banhon par wo lams abhi tak taza hai
shaKH-e-sanobar par ek chand damakta hai
phul ka gahna
prem ka kangan
pyar ka bandhan
ab tak meri yaad ke hath se lipTa hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.