kaash maiñ tere hasīñ haath kā kañgan hotā
tū baḌe pyaar se chaav se baḌe maan ke saath
apnī nāzuk sī kalā.ī meñ chaḌhātī mujh ko
aur betābī se furqat ke ḳhizāñ lamhoñ meñ
tū kisī soch meñ Duubī jo ghumātī mujh ko
maiñ tire haath kī ḳhushbū se mahak sā jaatā
jab kabhī mood meñ aa kar mujhe chūmā kartī
tere hoñToñ kī meñ hiddat se dahak sā jaatā
raat ko jab bhī tū nīñdoñ ke safar par jaatī
marmarīñ haath kā ik takiya banāyā kartī
maiñ tire kaan se lag kar ka.ī bāteñ kartā
terī zulfoñ ko tire gaal ko chūmā kartā
jab bhī tū band-e-qabā kholne lagtī jānāñ
apnī āñkhoñ ko tire husn se ḳhīra kartā
mujh ko betāb sā rakhtā tirī chāhat kā nasha
maiñ tirī ruuh ke gulshan meñ mahaktā rahtā
maiñ tire jism ke āñgan meñ khanaktā hotā
kuchh nahīñ to yahī be-nām sā bandhan hotā
kaash maiñ tere hasīñ haath kā kañgan hotā
kash main tere hasin hath ka kangan hota
tu baDe pyar se chaw se baDe man ke sath
apni nazuk si kalai mein chaDhati mujh ko
aur betabi se furqat ke KHizan lamhon mein
tu kisi soch mein Dubi jo ghumati mujh ko
main tere hath ki KHushbu se mahak sa jata
jab kabhi mood mein aa kar mujhe chuma karti
tere honTon ki mein hiddat se dahak sa jata
raat ko jab bhi tu nindon ke safar par jati
marmarin hath ka ek takiya banaya karti
main tere kan se lag kar kai baaten karta
teri zulfon ko tere gal ko chuma karta
jab bhi tu band-e-qaba kholne lagti jaanan
apni aankhon ko tere husn se KHira karta
mujh ko betab sa rakhta teri chahat ka nasha
main teri ruh ke gulshan mein mahakta rahta
main tere jism ke aangan mein khanakta hota
kuchh nahin to yahi be-nam sa bandhan hota
kash main tere hasin hath ka kangan hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.