kanhayya
maiñ sadqe tire haq ke pyāre kanhayyā
zamīñ par ḳhudā ke utāre kanhayyā
nahīñ ek gokul pe mauqūf jalve
tire har kahīñ haiñ nazāre kanhayyā
maza to yahī hai tirī ma.arifat kā
ki har qaum samjhe hamāre kanhayyā
vahī to haiñ bas zinda dār-e-mohabbat
tire ishq ke jo haiñ maare kanhayyā
jafā-o-sitam ke añdheroñ meñ pal kar
bane ḳhalq meñ chāñd taare kanhayyā
milī hai unhīñ ko to rāh-e-haqīqat
chale haiñ jo tere sahāre kanhayyā
ajab kyā mazālim kī tārīkiyoñ meñ
zamāna tujhe phir pukāre kanhayyā
jo haiñ aaj bhī haq-parastī ke mahram
vo zinda haiñ tere sahāre kanhayyā
na vo kans hai aur na vo daur 'afqar'
magar rah ga.e haq ke pyāre kanhayyā
main sadqe tere haq ke pyare kanhayya
zamin par KHuda ke utare kanhayya
nahin ek gokul pe mauquf jalwe
tere har kahin hain nazare kanhayya
maza to yahi hai teri marifat ka
ki har qaum samjhe hamare kanhayya
wahi to hain bas zinda dar-e-mohabbat
tere ishq ke jo hain mare kanhayya
jafa-o-sitam ke andheron mein pal kar
bane KHalq mein chand tare kanhayya
mili hai unhin ko to rah-e-haqiqat
chale hain jo tere sahaare kanhayya
ajab kya mazalim ki tarikiyon mein
zamana tujhe phir pukare kanhayya
jo hain aaj bhi haq-parasti ke mahram
wo zinda hain tere sahaare kanhayya
na wo kans hai aur na wo daur 'afqar'
magar rah gae haq ke pyare kanhayya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.