kankawwa ban jaun
taarā sā lahrā.ūñ
kankavvā ban jā.ūñ
jab ammāñ tum aao
chhat ko ḳhālī paao
chup kī chup raah jaao
saare meñ DhuñDvāo
phir bhī maiñ to na aa.uuñ
kankavvā ban jā.ūñ
Dor ko jab tum paao
khīñcho aur khinchvāo
aur hañstī bhī jaao
aur phir mujh ko bulāo
tab maiñ ghar meñ aa.uuñ
kankavvā ban jā.ūñ
tara sa lahraun
kankawwa ban jaun
jab amman tum aao
chhat ko KHali pao
chup ki chup rah jao
sare mein DhunDwao
phir bhi main to na aaun
kankawwa ban jaun
Dor ko jab tum pao
khincho aur khinchwao
aur hansti bhi jao
aur phir mujh ko bulao
tab main ghar mein aaun
kankawwa ban jaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.