kanpur
ye maqnātīs kī dāvat thī aahan kaise rad kartā
maiñ kalkatta se ruḳhsat ho ke sīdhā kanpur aaya
nazar aa.e razā-kārān-e-nīlī-posh saf-dar-saf
mire dil meñ surūr utrā mirī āñkhoñ meñ nuur aaya
sunā.ī dāstāñ lahore aur us ke shahīdoñ kī
to merī peshvā.ī ke liye shor-e-nushūr aaya
siyah-mastī kī detā huuñ salā rindān-e-mashriq ko
ḳhumistān-e-arab ke nashshe meñ ho kar maiñ chuur aaya
kiyā afsāna duniyā kā supurd-e-ḳhāma jab maiñ ne
to afsūñ dīn-e-qayyim kā nazar bainassutūr aaya
musalmānoñ kī jam.iyyat se Takrānā nahīñ āsāñ
vo Takrā.eñ to samjho un kī aqloñ meñ futūr aaya
ḳhudā kī hamd paiġhambar kī mad.h islām ke qisse
mire mazmūñ meñ jab se sher kahne kā shu.ūr aaya
ye maqnatis ki dawat thi aahan kaise rad karta
main kalkatta se ruKHsat ho ke sidha kanpur aaya
nazar aae raza-karan-e-nili-posh saf-dar-saf
mere dil mein surur utra meri aankhon mein nur aaya
sunai dastan lahore aur us ke shahidon ki
to meri peshwai ke liye shor-e-nushur aaya
siyah-masti ki deta hun sala rindan-e-mashriq ko
KHumistan-e-arab ke nashshe mein ho kar main chur aaya
kiya afsana duniya ka supurd-e-KHama jab main ne
to afsun din-e-qayyim ka nazar bainassutur aaya
musalmanon ki jamiyyat se Takrana nahin aasan
wo Takraen to samjho un ki aqlon mein futur aaya
KHuda ki hamd paighambar ki madh islam ke qisse
mere mazmun mein jab se sher kahne ka shuur aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.